Friday, 30 November 2012

Ugte suraj ke samne palke jhuk jaati hai
Mein aankh khol ke uski roshni nahi dekh sakta
Mere marte waqt use mere paas na bethana
Uski aankhon mein apni zindagi bujhte nahi dekh sakta.........

Thursday, 25 October 2012

Bahut jee chuke........



Pee rahe the us din hum dil khol ke qki
Botlein khol ke to kafi martabah pee chuke
Wo bole ab bas karo bahut pee chuke to hum bole
Itna hi keh dya hta ki bahut jee chuke………..

Saza apne liye mukarrar ki hai.....



Khuda ne hume zindagi  tohfe mein di hai
Lagta hai jaise usne bhi ghalti ki hai
Peete rhenge sharab ab marte dam tak
Yahi saza humne apne liye mukarrar ki hai……….

Thursday, 20 September 2012

MERA QALAM...



Mere ashko ka fasana baya nahi ho sakta
Mere lafzo ka thikana tham nahi sakta
Yun to likha jaa sakta hai bahut kuch qalam se
Magar dil ka tamam dard lafzon mein bayan nahi ho sakta
Maykhane mein jakar kuch dard ko bhula deta hun
Jaam ke sath ashko ko baha deta hun
Guzarish karta hai koi to muskura deta hun
Magar us bewafa ke sitam ko bhula nahi sakta
Ummed ki pyar ki mene ek Pathar dil se
Bhool ke muhabbat ke sitam mar mita uspe
Na chahte hue bhi wo yaad aa jaati hai
Uske sath bitaye hue pal ko mein bhula nahi sakta……..

Sunday, 9 September 2012

AAJ KI LADKIA.........


Aaj kal ki ladkia ladko ko ungli par nachati hai
Apni chikni chupdi baton se unhe lubhati hai
Ghungat ki tarah chehre pe zulfo ko girakar
Apni reshmi zulfo ke jaal mein unhe fasati hai……
Lehrati hai zulfe hawa ke jhoke si
Apni zulfo ki hawa se unka dil jalati hai
Tasavvur mein apne khud ko samajhti hai hoor
Apne chehre ke noor se unka dil jalati hai………….
Sunti nahi kabhi kisi ki adi rehti hai apni baat par
Apni unglio ke isharo se sabka ullu banati hai
Jab tak rehti hai ek ke sath karti hai vade pyar ke
Milte hi doosra uske sath chali jaati hai………….

Monday, 3 September 2012

SACHA LADKE KI KAHANI MERI ZUBANI....

Shuruat mein to dil ke aashiyane ko sajaunga
Phir teri bewafai ko kahi dhue mein udaunga
Mere zarf mein jhooti muhabbat ka izhar na karna
Warna milne se pehle tera sath chod jaunga........

MERE JAISE SHAGIRDO KE LYE........

Kuch nahi kamaya ab tak ab zar naam kama lena
Zindagi ko apni mazedar bana lena
Aaye ho itni door to ilm hasil karna
Ye ishq muhabbat kuch banne ke baad racha lena........

Saturday, 11 August 2012

izhar karte hue samjhao apna pyar........


Tumse hme muhabbat h kitni
Humari aankho mein dekh lo
Gr shikwa ho koi humari muhabbat se to phir
Kisi or se dil laga kar dekh lo
Na chah kr bhi tumhe bhul payenge
Ab nhi to tmhe pane ke baad muskurayenge
Gr koi shikayat ho humari aashiqi se to phir
Kisi or ko aazma kar dekh lo.............

Monday, 23 April 2012

STUDENTS KI KAHANI MERI ZUBANI....


Bethe bethe raat yuhin guzar jaati hai
Ghafile inteha si sham guzar jaati hai
Hum sochte hi reh jaate hai kuch ajnawa kare
Naa jaane kab kahan kaise zindagi guzar jaati hai
Aaye hai bahut door kuch ilm hasil karne
Muayna karne mein hi sanad nikal jaati hai
Aaye the yahan dil mein ghane arma lekar
Magar tanav se armano ki majlis doob jaati hai
Koshish karte hai avval darja hasil karne ki
Khuwahishe hasil justu joo mein nikal jaati hai
Aakhir mein sochte hai ki khuda se dua kare
Magar humari namaze kaza hokar nikal jaati hai

Tuesday, 17 April 2012

Mera Qatal........


Nigahe badal gayi magar nazare nahi badle
Andaaz badal gaye magar ishare nahi badle
Kayi tukdo mein ho raha hai mera aaj bhi qatal
Khanjar badal gaye magar qatil nahi badle……….

Thursday, 12 April 2012

Khabo ki mehbuba...........


Kaash zindagi ki bujhi shama roshan ho jaye
Koi sacha pyar karne waali mayassar ho jaye
Paate hi jise mein bhool jaun har gham
Kisi ka aisa ehsas mere dil mein bas jaye
Noor hoga jiska kisi hoor ke jaisa
Jise dekhte hi saara sama tham jaye
Aahat se jiski patte jhadne lage
Choote hi jisko madhoshi cha jaye
Lehrate hue zulfe jab wo nazre uthaye
Khilte hue phool bhi sharm se murjha jaye
Sharmate hue jab wo nazre jhukaye
Use dekhte hi bhavra apna raasta bhatak jaye
Apne gulabi honthon se jab wo muskuraye
Uski muskaan se qaynaat ka waqt tham jaye
Jab kare wo ishara apni unglio ko hilakar
To udta hua parinda bhi aasmaa mein ruk jaye
Balkhate hue kamar jab wo rakhe qadam
Jhankaye apni pazeb ko cham cham cham
Jiski chaal par hi aasim diwana ho jaye
Kash koi aisi ladki meri humrahi ban jaye…………