Thursday, 28 December 2017

jate hai

Wo log hi kyu ruh mein bas jate hai
Jo milte hi pal bhar mein bichad jate hai
Yun to kaate se bhi kat ta nahi hai waqt
Uske sath bitaye lamhe yun hi guzar jate hai....

Unke aangan mein sunapan dekh kar
Humare khet khalyan bhi ujad jate hai
Hume daro deewar jhakne ki zarurat nahi
Har jagah wahi humara aayna ho jate hai....

Roz sawere khidki mein zarur aaya karo
Tere deedar ki khatir log namazi ho jate hai
Suni sadko par bhi mehfile jamne lagi
Apna pata bhulne wale bhi rahbar ho jate hai.... 

Tuesday, 12 December 2017

bewafa ho jaate hai..........

Jo log badi mushkil se kareeb aate hai
Wo mausam ki tarah kyu badal jate hai…..
Hum  pathar se jinko sanam banate hai
Wo khud hi ek din khuda ban jate hai….

Muhabbat mein diwangi to humse pucho
Nashe bhi sheeshe mein angdayia lete hai ….
Hashr-e-Wehshat jab dil ki awargi ban jati hai
Kisi ka pata puchne wale bhi lapata ho jate hai….

Humne ye sochkar tumse vaada kiya hai
Ek vaade pe umar bhi guzar jaati hai……
Aashiqo ka mazmoon sunkar ye lagta hai
Dunia mein kitne ahle wafa bewafa ho jate hai…..

Thursday, 7 December 2017

Kadwa sach....

Apni jhooti shaan or ruab mujhe dikhata hai
Har mauke par mujhe neecha dikhata hai
Tu jane kya sochkar mujhe dabata hai
Mene hi tujhe paida kya ye kyu bhool jata hai.....

Mein jeeti hun puri zindagi dehleez mein rehkar
Teri tarah apni chaukhatein nahi badla karti
Mein tawayaf bankar bhi sirf jism bechti hun
Teri tarah apna imaan nilam nahi karti....

Mein tujhe hi apna sab kuch maan leti hun
Tujhe mein daulat se zyada bhaati nahi hun
Mujhe tu chand rupaiyo se kya khareedega
Mein khud apni marzi se tujhe thukrati hun....

To be continued...... 

Wednesday, 6 December 2017

Aag lage is fashion ko....

Apne Jism ki Numayish ko tarakki samajhna
Khuda jane kesa hai ye bharam
Arey Aag lage is fahion ko
Jisme na haya ho na sharam....

Apni tasveere khule aam dikhana
Bas tasveer lete hue ghabrana
Arey aag lage is fashion ko
Jisme na parda ho na sharam.....

Apne waaldayen se chup chupakar jana
Bas tasveero mein hi apna pyar jatana
Arey aag lage is fashion ko
Jisme na wabastagi ho na chaino aman....

Monday, 4 December 2017

Diya Karte Hai.....

Khud Se Buraiyon Mein Muftala Hokar

Apne Halato Ko Dosh Diya Karte Hai....

Khud Nahi Hai Abhi Tak Imaan Par Kamil

Jo Logo ko Dawat-e-Iman Diya Karte Hai.....

Sunday, 26 November 2017

Ek Tarfa pyar.....


Khaasa nigahein or rukhsar-e-tabassum dekh
Mein gurur-e-husn par hi dil gawa betha
Mein kisi lihaz se kabhi izhar na kar saka
Or wo nadan  ise mera ghurur samajh betha.....

Ojhal si sham or qatilana rat mein
Mein dil mein ulfat ki aag ko pee betha.....
Ahtamal tha ghar barbad kar dega wo
Dil phir bhi us darham barham ko de betha....

Jab uska or mera wasta kuch bhi nahi hai
Kyun use kisi ke sath dekh udas ho betha
Yun to ishq mein log dunia lutate hai
Mein “Ek Tarfa Pyar” mein aabru  gawa betha….

Monday, 20 November 2017

ghulam ho jata hai.........

Ye zulm kyun nigahon se ho jata hai
Nain milte hi chain kho jata....

Samandar se jakar hi kyu iltija karte hai
Aankhon ka paymana jab sookh jata hai....

Shishe ki tarah kyun bikharta hai dil
Wafa hi  jab ek dhokha ho jata hai.....

Itne par bhi deewane mante nahi hai
Islye to har gali kucha badnam ho jata hai…….
Ishq ki fizaon mein lehre hi aisi hai
Muflisi mein bhi ameer ho jata hai.....

Kalam pr kisi ki lagam nhi hoti
Phr kyun kisi husn ka ghulam ho jata hai.....

Monday, 13 November 2017

Hota Hun.......


Jab bhi akele mein milna hota hai tujhse
Kese dil churaun tera  aayne se puchta hun

Manga jo mene meri amanat hai jannat nhi
Akele mein bethkar roz khuda se ladta hun

Teri muskan ne dil pe aisi fateh lehrayi
Sare aam  mein apni ruh ko bhigota hun

Tere husn ki gehrayi tafseel se dekh ke
Ghurur dagmagaya  “nashemand” ho gaya hun

 Har dam gunaho ke mausam ka alam hai

Besharmi ki ruto mein dooba rehta hun

Raaz ki baat puche koi to bataye "AASIM"
Uske bina bazm mein bhi akela hota hun.......

Thursday, 9 November 2017

kar betha........


Aaj kal mein to kya mausam bhi muskurata hai
Dekh tujhe mein hi nhi chand bhi noorani ho jata hai,

Khatawar to bahut pehle se hun
Ab kabira gunah kar betha

Zamee par tujh hoor ko dekh
Tere noor ke sajde mein jhuk betha

Yun to kisi ki majal nahi mujhe khareedne ki
Teri muskan pe bina mol hi bik betha

Tere ehsas ki  dhoop milne ki khatir
Ta umr khuda se sardia mang betha

Tu pas mere humesha bethi rahe ; is khatir
Mein waqt se mohlatein   maang  betha

Pehla or aakhiri pyar tu hi lagta hai
Teri chahto ko khuda man betha

Ab tu bhi qubool karle mere paak rishte ko
Ek tarfa muhabbat mein sab nichawar kar betha


Ek tu hai ki mere liye waqt hi nhi milta tujhe
Mein teri khatir waqt se bagahwat kar betha



Sunday, 8 October 2017

adhuri kahani

Haste Haste mulakatein hui thi

Ek rat jesi hi zindagani guzar gayi......

Humne to chaha tha safar zindagi bhar tak

Afsos ki kahani adhuri hi reh gayi.......

Wednesday, 30 August 2017

MULAKAT


JAB BHI LAGTA HAI UNSE MULAKAT PAKKI HAI

NA JANE KYUN KAMBAKHT EK ROZ BEECH AAJATA HAI....
KABHI ZINDAGI KYUN ITNI BERUKH HO JAATI HAI

RAAT ACHANAK DIN MEIN TABDEEL HO JATI HAI.....

NA GILA HAI KISI SE NA KISI SE SHIKWA

PHIR KYUN ACHANAK MAJHDHAR KAHI BHI RUK JATI HAI........