Monday, 23 April 2012

STUDENTS KI KAHANI MERI ZUBANI....


Bethe bethe raat yuhin guzar jaati hai
Ghafile inteha si sham guzar jaati hai
Hum sochte hi reh jaate hai kuch ajnawa kare
Naa jaane kab kahan kaise zindagi guzar jaati hai
Aaye hai bahut door kuch ilm hasil karne
Muayna karne mein hi sanad nikal jaati hai
Aaye the yahan dil mein ghane arma lekar
Magar tanav se armano ki majlis doob jaati hai
Koshish karte hai avval darja hasil karne ki
Khuwahishe hasil justu joo mein nikal jaati hai
Aakhir mein sochte hai ki khuda se dua kare
Magar humari namaze kaza hokar nikal jaati hai

Tuesday, 17 April 2012

Mera Qatal........


Nigahe badal gayi magar nazare nahi badle
Andaaz badal gaye magar ishare nahi badle
Kayi tukdo mein ho raha hai mera aaj bhi qatal
Khanjar badal gaye magar qatil nahi badle……….

Thursday, 12 April 2012

Khabo ki mehbuba...........


Kaash zindagi ki bujhi shama roshan ho jaye
Koi sacha pyar karne waali mayassar ho jaye
Paate hi jise mein bhool jaun har gham
Kisi ka aisa ehsas mere dil mein bas jaye
Noor hoga jiska kisi hoor ke jaisa
Jise dekhte hi saara sama tham jaye
Aahat se jiski patte jhadne lage
Choote hi jisko madhoshi cha jaye
Lehrate hue zulfe jab wo nazre uthaye
Khilte hue phool bhi sharm se murjha jaye
Sharmate hue jab wo nazre jhukaye
Use dekhte hi bhavra apna raasta bhatak jaye
Apne gulabi honthon se jab wo muskuraye
Uski muskaan se qaynaat ka waqt tham jaye
Jab kare wo ishara apni unglio ko hilakar
To udta hua parinda bhi aasmaa mein ruk jaye
Balkhate hue kamar jab wo rakhe qadam
Jhankaye apni pazeb ko cham cham cham
Jiski chaal par hi aasim diwana ho jaye
Kash koi aisi ladki meri humrahi ban jaye…………