Saturday, 5 January 2019

Deewar par moot te the...

Zara si chaka chond dekh apni siqafat bhulkar
Bhul jate hai jo waha karte ho yaha sikhte the..
Tareef karte hai wo London Dubai ki safayi ki
Jo apne mulk me khade hokar deewar par moot te the ...

Chalte hai un beshahooro ke naksh-e-qadam par ye bhulkar
Jab hum libas me rehte the tab wo nange ghumte the...
Mante hai apna butt un kamzarfo ko
Jo kabhi roz inki aabru lut te the.... 

Sunday, 2 December 2018

Zakham inam ban jata hai...

Sitara har kisi ka chamak jata hai
Andhera jab tukdo mein bikhar jata hai
Kam lagti hai khud ki sari mashakkate
Marham haram or zakhm inam ban jata hai.....

Har dar ka kohra hatakr jab teer lagata hai
Koi aur nhi khud khuda hafiz ban jata hai
Jo sir niche or paanv zamee par rakhta hai
Ek din falak par dastakht kar jata hai....

Apni chah me jo had se guzar jata hai
Uska haq mehaz shikhar ban jata hai
Parchayi se chupkar tanhayi se lad jata hai
Charcha uska dunia mein aam ho jata hai....

Wednesday, 28 November 2018

Nakara nahi hun...

Zara jhuk gaya hun abhi gira nahi hun
Dil bhale tuta ho khud tuta nahi hun
Jung abhi aur baki hai aur hara nahi hun
Bata dunga sabko ek din mein nakara nahi hun.....

Yakeen hai mujhe zarur koi rasta hoga
Khuda ne peda kiya usne bhi kuch socha hoga
Rakh khayal jazbat ka khamosh rehta hun
Bata dunga sabko ek din mein nakara nahi hun.....

Haslo aaj jise jise mujh par hasna hai
Musafa karoge us din jab itihas rachunga
Bharosa hai khud par aisa maqam hoga
Har zuba par ek din mera hi nam hoga.....

Friday, 2 November 2018

Wo wakya tmara tha...

Muhabbat kar bethe ho tum phir kesi hoshiyari hai
Nigahe jhukti hai ek dum islye bekarari hai
Kabhi fursat mein sunayge qissa apni muhabbat ka
Wo waqya tmara tha yeh dastan humari hai.....

Dayra kar diya muhabbat ka charpayi ki had tak
Kehte firte ho muhabbat ek adakari hai
Zara nakhra mehbub ka bardasht nahi karte
Ishq ke bazar mein ye kesi dukandari hai....

Wednesday, 26 September 2018

Dil lagta hai...

Na sajde mein na ibadat mein dil lagta hai
Kyun kambakht bas baghawat mein dil lagta hai
So to jaun mein takiye par sir rakh kar bhi lekin
Tere sirane letkar hi sukun lagta hai....

Parde mein dekhte dekhte tujhe suboh sham
Mera bhi kambakht chupne mein dil lagta hai
Bhale zamane bhar ki bewafayi dekhi ho mene
Phir bhi bas muhabbat mein dil lagta hai..

Nind to mujhe bhi bahut pyari hai lekin
Rat ko teri yad mein jagne mein dil lagta hai
Likhne ko to wese kayi alfaz hai lekin
Tere bare mein hi likhne mein dil lagta hai... 

Friday, 21 September 2018

Zara Daulat pane se

Zara Daulat pane se tu kitna badal jata hai
Kal talak tha beakal achanak faheem ban jata hai

Na kar ghuma kabhi tu apni hasiyat par
Badshah bhi palak jhapakte fakeer ban jata hai...

Tu kya apni zameedari dikhata hai sabko
Aakhir mein har koi do gaz zamee mein jata hai

Apne baap ki daulat ki itni shohrat kyu
Bata dunia ko wo jo tu khud kamata hai... 

Tuesday, 4 September 2018

Hath tak na lagaya

Khuda jane kya jadu hai uski mehak mein
Jo mere dil ne aaj tak usko na bhulaya
Hum to unse pakeeza muhabbat kar bethe
Kasam se uske jism ko hath tak na lagaya...

Hui aisi na jane kya khata humse
Jo unhone kabhi hum par dil na gawaya
Ruth kar chale gaye wo humse us waqt bhi
Jab humne unhe khabo me milne ko bulaya..

Naraz hai bahut wo humare Tarz se
Humne apna ishq kabhi kyu na jataya
Sang dil nahi magar anjan hai wo
Jab milna unse tha to unhe kyu na bataya...