Wednesday 25 May 2016

Bewafa Zindagi

Kon kehta  log bewafayi karte hai
Asal bewafa to humari ''zindagi'' hoti hai....
Ye kambakht kabhi humari marzi se nahi chalti
Balke apni marzi se hume chalati hai.....
Jab chahe kisi se mila deti dil laga deti hai
Or palak jahpakte hi usse juda bhi kar deti hai....
Yun to bahut se shayro ne zindagi ko baya kiya
Or sabne ise bewafa qarar diya....
Ye aisi sathi hai jo ek din thukrygi
Or maut mehbooba hai apne sath lekar jayegi....
Phir na jane hum kyun ise chahte hai
Maut ko gale lagane ke badle usse ghabrate hai..........

Friday 6 May 2016

Hamari yahi kami shayad sabse dur kar degi hume
Na pyar ka  izhar kar pate hai or na dard zahir.... 

KISKI ''BHOOL''

Jab farishta ghar ata hai to sab khushia manate hai
Jab pari ghar aati hai to sab udas ho jate hai....
Unhe to numayish ki tarah sabko dikhate hai
Mujhe showbiz ki tarah ghar me sajate hai....
Jab kabhi inam lekar ghar par aati hun
Ankhon me sabki khushia or wah wahi paati hun...
Phir bhi jaane anjane mujhe dabate hai
Beti ke badle beta kehkar bulate hai...
Mein bhi is dunia ko kareeb se dekhna chahti hun
Mein bhi apne doston ke sath ghumna chahti hun....
Mujhe bahar ke mahol se daraya jaata hai
Bhaiyya ko doston ke sath ghumne bhej diya jata hai....
Kabhi bhai se ladkar bahut udas ho jati hun
Tanhayi mein kahi bathkar khud ko akela paati hun...
Phir Maa ki mamta mujhe chupati hai
Bhai ko dantne ke badle mujhe samjhati hai....
Khamosh hoti hun to dabaya jata hai
Bolti hun to afsana banaya jata hai....
Kabhi Sati kabhi Damini aise sataya gaya
Kabhi zinda jalaya to kabhi fasi par latkaya gaya....
Dard itna hai ki lafzon ka janaza uth jaye
Kya kya bataun lakho kahania hai meri....
Mein puchti hun apse kya khata hai meri
Jo Beti bankar peda hui kya yahi bhul hai meri....