Sunday 2 December 2018

Zakham inam ban jata hai...

Sitara har kisi ka chamak jata hai
Andhera jab tukdo mein bikhar jata hai
Kam lagti hai khud ki sari mashakkate
Marham haram or zakhm inam ban jata hai.....

Har dar ka kohra hatakr jab teer lagata hai
Koi aur nhi khud khuda hafiz ban jata hai
Jo sir niche or paanv zamee par rakhta hai
Ek din falak par dastakht kar jata hai....

Apni chah me jo had se guzar jata hai
Uska haq mehaz shikhar ban jata hai
Parchayi se chupkar tanhayi se lad jata hai
Charcha uska dunia mein aam ho jata hai....

Wednesday 28 November 2018

Nakara nahi hun...

Zara jhuk gaya hun abhi gira nahi hun
Dil bhale tuta ho khud tuta nahi hun
Jung abhi aur baki hai aur hara nahi hun
Bata dunga sabko ek din mein nakara nahi hun.....

Yakeen hai mujhe zarur koi rasta hoga
Khuda ne peda kiya usne bhi kuch socha hoga
Rakh khayal jazbat ka khamosh rehta hun
Bata dunga sabko ek din mein nakara nahi hun.....

Haslo aaj jise jise mujh par hasna hai
Musafa karoge us din jab itihas rachunga
Bharosa hai khud par aisa maqam hoga
Har zuba par ek din mera hi nam hoga.....

Friday 2 November 2018

Wo wakya tmara tha...

Muhabbat kar bethe ho tum phir kesi hoshiyari hai
Nigahe jhukti hai ek dum islye bekarari hai
Kabhi fursat mein sunayge qissa apni muhabbat ka
Wo waqya tmara tha yeh dastan humari hai.....

Dayra kar diya muhabbat ka charpayi ki had tak
Kehte firte ho muhabbat ek adakari hai
Zara nakhra mehbub ka bardasht nahi karte
Ishq ke bazar mein ye kesi dukandari hai....

Wednesday 26 September 2018

Dil lagta hai...

Na sajde mein na ibadat mein dil lagta hai
Kyun kambakht bas baghawat mein dil lagta hai
So to jaun mein takiye par sir rakh kar bhi lekin
Tere sirane letkar hi sukun lagta hai....

Parde mein dekhte dekhte tujhe suboh sham
Mera bhi kambakht chupne mein dil lagta hai
Bhale zamane bhar ki bewafayi dekhi ho mene
Phir bhi bas muhabbat mein dil lagta hai..

Nind to mujhe bhi bahut pyari hai lekin
Rat ko teri yad mein jagne mein dil lagta hai
Likhne ko to wese kayi alfaz hai lekin
Tere bare mein hi likhne mein dil lagta hai... 

Friday 21 September 2018

Zara Daulat pane se

Zara Daulat pane se tu kitna badal jata hai
Kal talak tha beakal achanak faheem ban jata hai

Na kar ghuma kabhi tu apni hasiyat par
Badshah bhi palak jhapakte fakeer ban jata hai...

Tu kya apni zameedari dikhata hai sabko
Aakhir mein har koi do gaz zamee mein jata hai

Apne baap ki daulat ki itni shohrat kyu
Bata dunia ko wo jo tu khud kamata hai... 

Tuesday 4 September 2018

Hath tak na lagaya

Khuda jane kya jadu hai uski mehak mein
Jo mere dil ne aaj tak usko na bhulaya
Hum to unse pakeeza muhabbat kar bethe
Kasam se uske jism ko hath tak na lagaya...

Hui aisi na jane kya khata humse
Jo unhone kabhi hum par dil na gawaya
Ruth kar chale gaye wo humse us waqt bhi
Jab humne unhe khabo me milne ko bulaya..

Naraz hai bahut wo humare Tarz se
Humne apna ishq kabhi kyu na jataya
Sang dil nahi magar anjan hai wo
Jab milna unse tha to unhe kyu na bataya... 

Monday 6 August 2018

Dhundta hun khud ko...

Dhundta hun khud ko har jagah ayne mein
Tu hi tu aise mujhme bas gayi
Tere aane se zindagi kuch yun badal gayi
Tu hi hontho ki hasi or chehre ka noor ban gayi....

Bas ek bat rehti hai meri din rat
Tujhpe shuru or Tujhpe khatam ho gayi
Nind bhi kambkht teri mureed hai ab to
Sawere hi tujhse milne ki chahat mein khul gayi....

Ab to har saans pe teri mehak aati hai
Teri khushboo meri Sanson mein aise bas gayi
Teri sangat ka asar humdum kuch aisa hua
Beraunki dunia meri jannat si ho gayi.... 

Tuesday 31 July 2018

Jab sharam bhi..

Jab sharam bhi khud se sharamsar ho jati hai
Haya bhi ruswayi ke kone me dipak jati hai
Haawi ho jati hai nafs jab tere zameer pe
Ghum phir ke tujhe meri yaad aati hai...

Kabhi to dunia mujhse apni hajat mitati hai
Aur kabhi sare aam mujhpe ungli uthati hai
Sabke liye ratein hoti hai aam meri
Ho jati hai bas yahi aukat meri...

Meri parchayi se bhi apni pehchan chupati hai
Or mujh par hi jabran apni marzi chalati hai
Ek taraf to dunia apni deewar bhi sajati hai
Aur bat jab mujh par aaye to sirf boli lagati hai.... 

Sunday 29 July 2018

Apne husn ke war...

Apne husn ke war zara karne kam kar
Insan hai wo beemar ho jayega...
Is faani husn ko apne or sawar
Ye mera dil hai aise thodi tujhpe aajyga...

Muhabbat ke labo lubab mein dubo de mujhe
Dil ka sacha hai Aasim shayad dub jayga..
Hawaon ka rukh bhi badal raha hai ab
Lehra de anchal jaldi phir toofan ajyega...

Takti kyu ho dawaza din bhar khade hokar
Aja chat pe jaldi phir aftab doob jayga...
Be hijabana mere samne na aana
Warna husn or faulad takra jayga.... 

Tuesday 3 July 2018

Meri muhabbat se pehle...

Saare shehar ki raunak banne wali
Tujhe sawarta kon tha meri muhabbat se pehle...
Ek lauti aakhla hoor banne wali
Tujhe dekhta kon tha meri muhabbat se pehle..

Tu apni zulfo ko ghata samajhne wali
Tujhe niharta kon tha meri muhabbat se pehle...
Meri muhabbat par shak karne wali
Tujhe pukarta kon tha meri muhabbat se pehle...

Mujhe bat karne ka lehza sikhane wali
Tujhse mukhatib kon tha meri muhabbat se pehle
Mujhko meri pehchan batane wali
Tujhe janta kon tha meri muhabbat se pehle.... 

Thursday 24 May 2018

jis din mein bhi kisi qabil ban jaunga......


Ek din khud ko ache se sawar kar
Aayne mein khud se nahi sharmaunga
Chod dunga akele kamre mein rehna
Jis din mein bhi kisi qabil ban jaunga……
Lehra ke parcham apni qamyaabi ka
Apne shehar ko gunjaan kar jaunga
Mud ke zarur dekhunga apne zikarkaro ko
Jis din mein bhi kisi qabil ban jaunga……
Aaj jagah jagah mein mehman banta  hun
Ek din mein bhi mezbaan ban jaunga
Dunga jawab ek sath sab sawalato ka
Jis din mein bhi kisi qabil ban jaunga….




Sunday 6 May 2018

Phir bhi dua hai..

Mere alawa na jane kis kis par ruki hai
Phir bhi dua hai teri ankhen salamat rahe...

Bhale meri dunia ko tune jahannam kar diya
Phir bhi dua hai aakhirat mein tu samne rahe...

Na aaye khwab koi jisme zikr bhi ho tera
Meri muhabbat ki na to shiddat ki laaj rahe...

Wese to ansuo se sakht nafrat hai mujhe
Phir bhi dua hai shehar me humesha barsat rahe...

Friday 4 May 2018

Dhoke mein guzar jaygi

Tune aise jahan se jo kinara kiya
Meri wafa bhi kahi piche chut jaygi...

Aisa banna sawarna mubarak tume
Ye umar ek din to dhal jaygi....

Jab koi dost tujhko nazar na aayga
Tu fir meri humsafar ban jaygi...

Tujhpe bharosa kiya hai khuda ki kasam
Umar sari dhoke mein guzar jaygi.... 

Monday 16 April 2018

Bachi bhi mehfooz nahi

Kya badhawa diya tumne mujhe zamane me
Aaj tak mere halaat sudhre nahi....

Pehle to khatra hota tha sirf jawano ko
Aaj to masoom bachi bhi mehfooz nahi.....

Thursday 8 March 2018

Hun to nahi mein....

Hun to nahi mein ishq ke changul mein
Phir bhi na jane kyu akele mein hasta hun
Apne charo taraf udasiyan dekh kar
Apni kismat pe bhi shak karta hun....

Jab dukh jate hain kandhe bojh uthaye
Khud par padi zimmedarion ko kosta hun
Chote bacho ko galio mein khelta dekh
Unki mastiyon mein apna bachpan dhundta hun....

Dost karte hai mere hunar ki tareefe
Mere apne meri qabliyat nahi samajhte
Dikhate hai mujhe dusro ki chat ke parindey
Mein apne aangan mein ek ghosle ko tarasta hun... 

Sunday 25 February 2018

Teri Aankhon...

Kal teri aankhon mein dekhkar yaad aaya

Mein kyun aaj tak behka hua tha...

Khule aasma ke niche bhi azad nahi

Tere husn ki zanjeero mein qaid tha...


Friday 16 February 2018

Nahi hai


Lehrate hue aanchal ko uljha dete ho kahi bhi

Tera dupatta meri ghadi mein kyu atakta nahi hai


Kya sambhaloge tum kisi ke dil ko
Jab ek aanchal tumse sambhalta nahi hai…….

Mene to pariyo ko bhi apna bana liya
Ek Tera dil hi mujhpe aata nahi hai

Itni shiddat dekh pathar bhi pighal jata hai
Ek tera dil hai jo kabhi pighalta nahi hai….

Do chaar jaam rozana peene wale
Ladkhada kar khud hi sambhal jate hai

Teri aankhon ka jam jo bhi peele
Zindagi bhar kabhi samabhalta nahi hai …….

Tuesday 13 February 2018

Karta hun...

Kisi chot ya zakhm se kya takleef hogi
Kayi dardo se guzar har roz karta hun....

Tanha hun majbur hun magar kamzor nahi hu
Mein aaj bhi apni taqdeer par yakeen karta hun....

Padha likha hun magar shayad qabil nahi hun
Kayi jahilo ke taane roz bardasht karta hun...

Shayad bhul chuka hun khud ki pehchaan bhi
Aayne mein apna aks roz talash karta hun...

Kabhi kabhi khud se yun hi naraz hokar
Raston mein akela barsaat dhundta hun...

Ek cup chai bhi pine ke waaste
Apne baap ki jaibe talash karta hun....
Maut tauba ke liye bhi mohlat nahi deti

Qabristan bhare hai nadan naujawano se... 
Bade hi kamzarf hai kambakht ye dunia wale

Mein dard baya karta hun or wah wah karte hai... 

Saturday 10 February 2018

Shayad isi wajah se tu dur ho gayi  mujhse

Muhabbat ko mein jo, ibadat samajh betha tha..... 

Monday 5 February 2018

Kisi gher ki nazarandazgi par kya gila kare

Khali jaib ho to janab apna bhai bhi nahi puchta... 

Saturday 3 February 2018

Meri jaib mein..

Ye jo rang birangi lagti hai tume meri zindagi
Meri parchayi or tanhayi ke siwa kuch bhi nahi...

Meri jaib ki banawat par kya nazar hai tumari
Meri jaib mein qalam ke siwa kuch bhi nahi... 
Jise shari samajh kar tum aah waah karte ho
Lafzon mein apne dil ke angaar parosta hun... 

Friday 2 February 2018

Ek waqt mein hawao ke sath behta tha
Waqt ke takaze se badlaav ho gaya..

Zimmedaria or Khuddario ke bojh tale dabkar
Mein bhi aaj bache se jawaan ho gaya...



Wednesday 17 January 2018

Aye Maut Tera Shukriya

Kaati thi ghurbat mein mene apni zindagi
Aey maut tera shukrya tune zameedar kar diya...
Bhool chuka tha mein to sare apno ko
Aey maut tune sab rishtedaro se bhi rubaru kar diya...

Jo behre ho jaya karte the Azaan sunkar
Aey maut tune meri aulad ko namazi kar diya...
Jinse nahi rahi kabhi wabastagi meri
Aey maut tune unme bhi mujhe charcha-e-aam kar diya...

Aaj tak samjhta raha khud ko bad shakhs mein
Aey maut tune amalo se bhi malamal kar diya....
Jo qatrate the kabhi mujhse musafa karne ko
Aey maut unhne bhi meri qabar pe kalma padh diya....

To be continued....