Friday, 6 May 2016

KISKI ''BHOOL''

Jab farishta ghar ata hai to sab khushia manate hai
Jab pari ghar aati hai to sab udas ho jate hai....
Unhe to numayish ki tarah sabko dikhate hai
Mujhe showbiz ki tarah ghar me sajate hai....
Jab kabhi inam lekar ghar par aati hun
Ankhon me sabki khushia or wah wahi paati hun...
Phir bhi jaane anjane mujhe dabate hai
Beti ke badle beta kehkar bulate hai...
Mein bhi is dunia ko kareeb se dekhna chahti hun
Mein bhi apne doston ke sath ghumna chahti hun....
Mujhe bahar ke mahol se daraya jaata hai
Bhaiyya ko doston ke sath ghumne bhej diya jata hai....
Kabhi bhai se ladkar bahut udas ho jati hun
Tanhayi mein kahi bathkar khud ko akela paati hun...
Phir Maa ki mamta mujhe chupati hai
Bhai ko dantne ke badle mujhe samjhati hai....
Khamosh hoti hun to dabaya jata hai
Bolti hun to afsana banaya jata hai....
Kabhi Sati kabhi Damini aise sataya gaya
Kabhi zinda jalaya to kabhi fasi par latkaya gaya....
Dard itna hai ki lafzon ka janaza uth jaye
Kya kya bataun lakho kahania hai meri....
Mein puchti hun apse kya khata hai meri
Jo Beti bankar peda hui kya yahi bhul hai meri....

Friday, 4 September 2015


Us fakeer ne mujhe meri muflisi ka ehsas dila Diya....
Jo pada tha zamee par aasma Ki chaadar odhe...

Friday, 3 April 2015

aankhein band karne pe khab hote hai
naujawa dilo mein arma hote hai.........
kyu hindu musalman kehkar khud ko baant rahe ho
yaad rakho paida sab sirf insa hote hai........

Tuesday, 31 March 2015

zindagi teri......

Guzar raha tha rah se teri
Aankhon mein basa kar tasveer teri
Ehsas tera mehsus kiya mene zindagi bhar
Dil se zindagi banna chahta hun zindagi teri.......

Wednesday, 19 November 2014

AJNABIO KO ITNA GAIR BHI NA SAMJHO
RAHON MEIN AKSAR HUMSAFAR MIL JATE HAI......
.
.
..
.
.
.
.
.

BERUKHI KE MAUSAM MEIN KABHI IZHAR NA KARNA
PURVAYI MEIN TO PAID SE PATTE BHI JHAD JATE HAI.............

Sunday, 14 September 2014

MAA KE BINA ZINDAGI....

Sab saath hote hai phir bhi akela hota hun
Dusro ki maao ko dekhkar tanhayi mein rota hun
Har pal mehsus karta hun lori ki gungunahat ko
Apne aap ko neend mein bhi khud thapak leta hun....

Jab ghalti karta hun to koi daant nhi milti
Or chot lagte par koi sahara dhundta hun
Yun kehne ko maa ke qadmo mein jannat hoti hai
Mein duniya mein har qadam par wo jannat dhundta hun.....

Ab har pareshani ko apna saathi bana liya kyunki
Koi tilasa nahi deta jab pareshan hota hun
Badnaseeb hai wo shakhs jinki maa nahi hoti
Un badnaseebo ka badshah mein khud ko kehta hun........

Saturday, 13 September 2014

kayi wajaye.....

Na jaane kis wajah se bhatak rahe hai log
Apne jism koi nuamyish ko tarakki samajhte hai
Na hindu na muslim na sikh or na isaayi
Mere mulk mein sirf insaan baste hai......
Bhale hi bewafa ho jaye humse ye gardish-e-mausam
Hum hawqqaon ka rukh badalna bhi jante hai
Dhyan karle humari gardan ka naap lene wale
Hum gardan qalam karne ka hunar bhi jante hai....
Awara parindo se tiranga nuchwane se kya fayda
Hum badlo ki tarah arsh pe tiranga lehrana bhi jante hai......