Thursday 12 April 2012

Khabo ki mehbuba...........


Kaash zindagi ki bujhi shama roshan ho jaye
Koi sacha pyar karne waali mayassar ho jaye
Paate hi jise mein bhool jaun har gham
Kisi ka aisa ehsas mere dil mein bas jaye
Noor hoga jiska kisi hoor ke jaisa
Jise dekhte hi saara sama tham jaye
Aahat se jiski patte jhadne lage
Choote hi jisko madhoshi cha jaye
Lehrate hue zulfe jab wo nazre uthaye
Khilte hue phool bhi sharm se murjha jaye
Sharmate hue jab wo nazre jhukaye
Use dekhte hi bhavra apna raasta bhatak jaye
Apne gulabi honthon se jab wo muskuraye
Uski muskaan se qaynaat ka waqt tham jaye
Jab kare wo ishara apni unglio ko hilakar
To udta hua parinda bhi aasmaa mein ruk jaye
Balkhate hue kamar jab wo rakhe qadam
Jhankaye apni pazeb ko cham cham cham
Jiski chaal par hi aasim diwana ho jaye
Kash koi aisi ladki meri humrahi ban jaye…………

No comments:

Post a Comment