Wednesday 26 March 2014

ye kya hua.....

Nikle the hum ghar se naha dhokar
Achanak ek badbu dar se takrav hua
Tabhi dil se awaz cheekh nikli
Haye Allah ye kya hua….
Ho gaye madhosh  uski mahak se
Gr bhatak gaya dhyan to kya hua
Sir pakad kar beth gye kahin kone mein

Dil se cheekh nikalti rahi haye Allah ye kya hua………

Tuesday 11 March 2014

har ghadi...

Har ghadi har pal tujhe sochta hun
Tere dil mien apni jagah tujhi se puchta hun
Karta hun mehsus tere sath ko har pal
Tanhayi mein bhi tera hi aks khojta hun............

Saturday 8 March 2014

Aaghosh-e-sitam mein chupa le aakar koi
Tanha hun tadapne se bacha le aakar koi
Sukhi hai bahut der se palko ki ye zaba
Bas aaj to jee bhar ke rula de aakar koi.......

Toot ke bikhar chuka hun aayene ki tarah
Gumnam ho chuka hun begano ki tarah
Mita de tamam dard ko sehla kar mujhe koi
Mere toote hue dil ko phir se jod de aakar koi......

Khushk rehte hai mere honth har dum
Chah kar bhi mein khush nahi keh paata
Laade nami dobara se mere khushk honthon par
Bas ab to meri band zaba ko khol de aakar koi..........

Ummed ki apne pan mene begano se
Apne dard ko mehsus kiya mene paymano se
Pee chuka hun lakho paymane beth kar maykhano mein
Bas aaj to maykhane mein ruka le aakar koi..........

Nadan parinda ban chuka hun bhatakte hue
Bas aaj to sahi rah pe lade aakar koi........

Thursday 6 March 2014

Basa hai jo dil mein use bhoolna nahi aata
Behti hawa ka rukh badalna nahi aata
Hume  hai unse kitni muhabbat
Hume to lafzon mein bayan karna nahi aata


Tham jaati hai dhadkan unki ek jhalak se
Unhe muskurate hue dekhna nahi aata
Khushk ho jati hai zaba unki muskan se
Kya kare  hume izhar karna nahi aata....


Likhte hai unka naam din raat hatheli par
Phir savera hote hi use mita dete hai
Koshish kari lakhon unhe yaad na karne ki
Magar unka naam dil se mitana nahi aata.........

Tham jate hai qadam humare unki aahat se
Kho jate hai kahin unki muskurahat se
Lakh koshish ki unhe dili arma batane ki
Magar unhedil ka elan sunna nahi aata...........

Tuesday 4 March 2014

KHABON KI MEHBUBA.......

Kash zindagi ki bujhi shama roshan  ho jaye
Koi pyar karne wali mayassar ho jaye
Paate hi jise mein bhul jaun sab kuch
Koi aisa ehsas mere dil mein bas jaye......

Noor hoga jiska kisi hoor ke jaisa
Jise dekhte hi sara sama tham jaye
Aahat se jiski patte jhadne lage
Choote hi jisko madhoshi ho jaye......

Lehrate hue zulfe jab wo nazre uthaye
Khilte hue phool bhi sharam se murjha jaye
Sharmate hue jab wo nazre jhukaye
Use dekhte hi bhavra apna rasta bhool jaye.....

Gulab jese honthon se jab wo muskuraye
Uski muskan se qaynat ka waqtt tham jaye
Jab kare wo ishara hilate hue apni unglio ko
To udta parinda  bhi aasma mein ruk jaye..........

Balkhate hue kamar ko jab wo rakhe kadam
Jhankaye apni pazeb ko cham cham cham
Jiski chal par  hi "aasim" diwana ho jaye
Kash koi aisi ladki meri humrahi ban jaye............


Monday 3 March 2014

Tumari kashish ek rubayi si hai
Tumari muskaan shehnayi si hai
Samayi hai zindagi mein tumari ek amanat
Lagta hai jese wo tumari parchayi si hai........


Na jane kyun aaj kal khoye khoye se rehte hai
Humari zindagi mien ek sansani aayi hai
Aksar ek awaz sunta hun mien khabon mein
Jese tumari awaz kano mein gungunayi hai........

Sunday 2 March 2014

Isharon se hi tumne hume lubha diya
Lehrakar zulfe hume madhosh bana dya
Aaj tak gumnam rehti thi sehar humari
Tumne humari sehar ko bhi shuakin bana dya........
Jhadta hai patta paid se jis tarah
Ujad dya humari zindagi se hume us tarah
Ab to rehem karo  maang raha hun panah tumse
Shetan mangta hai panah farishto se jis tarah......
Tasveer tumari dil mein basi hai
Kashish tumari aankhon mien thami hai
Na jao chodkar hume tum kahin
Tumare naam se hi ye dhadkane chali hai......