Sunday 14 September 2014

MAA KE BINA ZINDAGI....

Sab saath hote hai phir bhi akela hota hun
Dusro ki maao ko dekhkar tanhayi mein rota hun
Har pal mehsus karta hun lori ki gungunahat ko
Apne aap ko neend mein bhi khud thapak leta hun....

Jab ghalti karta hun to koi daant nhi milti
Or chot lagte par koi sahara dhundta hun
Yun kehne ko maa ke qadmo mein jannat hoti hai
Mein duniya mein har qadam par wo jannat dhundta hun.....

Ab har pareshani ko apna saathi bana liya kyunki
Koi tilasa nahi deta jab pareshan hota hun
Badnaseeb hai wo shakhs jinki maa nahi hoti
Un badnaseebo ka badshah mein khud ko kehta hun........

Saturday 13 September 2014

kayi wajaye.....

Na jaane kis wajah se bhatak rahe hai log
Apne jism koi nuamyish ko tarakki samajhte hai
Na hindu na muslim na sikh or na isaayi
Mere mulk mein sirf insaan baste hai......
Bhale hi bewafa ho jaye humse ye gardish-e-mausam
Hum hawqqaon ka rukh badalna bhi jante hai
Dhyan karle humari gardan ka naap lene wale
Hum gardan qalam karne ka hunar bhi jante hai....
Awara parindo se tiranga nuchwane se kya fayda
Hum badlo ki tarah arsh pe tiranga lehrana bhi jante hai......