Thursday 6 March 2014

Basa hai jo dil mein use bhoolna nahi aata
Behti hawa ka rukh badalna nahi aata
Hume  hai unse kitni muhabbat
Hume to lafzon mein bayan karna nahi aata


Tham jaati hai dhadkan unki ek jhalak se
Unhe muskurate hue dekhna nahi aata
Khushk ho jati hai zaba unki muskan se
Kya kare  hume izhar karna nahi aata....


Likhte hai unka naam din raat hatheli par
Phir savera hote hi use mita dete hai
Koshish kari lakhon unhe yaad na karne ki
Magar unka naam dil se mitana nahi aata.........

Tham jate hai qadam humare unki aahat se
Kho jate hai kahin unki muskurahat se
Lakh koshish ki unhe dili arma batane ki
Magar unhedil ka elan sunna nahi aata...........

No comments:

Post a Comment