Sab saath hote hai phir bhi akela hota hun
Dusro ki maao ko dekhkar tanhayi mein rota hun
Har pal mehsus karta hun lori ki gungunahat ko
Apne aap ko neend mein bhi khud thapak leta hun....
Jab ghalti karta hun to koi daant nhi milti
Or chot lagte par koi sahara dhundta hun
Yun kehne ko maa ke qadmo mein jannat hoti hai
Mein duniya mein har qadam par wo jannat dhundta hun.....
Ab har pareshani ko apna saathi bana liya kyunki
Koi tilasa nahi deta jab pareshan hota hun
Badnaseeb hai wo shakhs jinki maa nahi hoti
Un badnaseebo ka badshah mein khud ko kehta hun........

No comments:
Post a Comment