Saturday 19 November 2011

Fidae Dil or Jaan

Dilo jaan tum par fida kar raha hun
Mein rasmein muhabbat ada kar raha hun
Kate umar bhar zindagi sath tere
Yahi raat din mein dua kar raha hun.....
Mita dunga khud ko tere naam par mein
Bahut soch kar faisla kar raha hun
Jo chahe saza do muhabbat mein mujhko
mujhe ilm hai mein khata kr raha hun......
Mein majboor hun dil ke hatho kya karun
Kisi ko yakeenan khafa kar raha hun
Tu amanat thi meri lekin
Tujhi par khud ko fida kar raha hun......
Muhabbat hai mujhko sitam aashna se
Mein sach kehne ka honsla kar raha hun
Mujhe naaz hai doston is par ki ab mein
Kisi bewafa se wafa kar raha hun.........



No comments:

Post a Comment