Thursday, 6 March 2014

Basa hai jo dil mein use bhoolna nahi aata
Behti hawa ka rukh badalna nahi aata
Hume  hai unse kitni muhabbat
Hume to lafzon mein bayan karna nahi aata


Tham jaati hai dhadkan unki ek jhalak se
Unhe muskurate hue dekhna nahi aata
Khushk ho jati hai zaba unki muskan se
Kya kare  hume izhar karna nahi aata....


Likhte hai unka naam din raat hatheli par
Phir savera hote hi use mita dete hai
Koshish kari lakhon unhe yaad na karne ki
Magar unka naam dil se mitana nahi aata.........

Tham jate hai qadam humare unki aahat se
Kho jate hai kahin unki muskurahat se
Lakh koshish ki unhe dili arma batane ki
Magar unhedil ka elan sunna nahi aata...........

Tuesday, 4 March 2014

KHABON KI MEHBUBA.......

Kash zindagi ki bujhi shama roshan  ho jaye
Koi pyar karne wali mayassar ho jaye
Paate hi jise mein bhul jaun sab kuch
Koi aisa ehsas mere dil mein bas jaye......

Noor hoga jiska kisi hoor ke jaisa
Jise dekhte hi sara sama tham jaye
Aahat se jiski patte jhadne lage
Choote hi jisko madhoshi ho jaye......

Lehrate hue zulfe jab wo nazre uthaye
Khilte hue phool bhi sharam se murjha jaye
Sharmate hue jab wo nazre jhukaye
Use dekhte hi bhavra apna rasta bhool jaye.....

Gulab jese honthon se jab wo muskuraye
Uski muskan se qaynat ka waqtt tham jaye
Jab kare wo ishara hilate hue apni unglio ko
To udta parinda  bhi aasma mein ruk jaye..........

Balkhate hue kamar ko jab wo rakhe kadam
Jhankaye apni pazeb ko cham cham cham
Jiski chal par  hi "aasim" diwana ho jaye
Kash koi aisi ladki meri humrahi ban jaye............


Monday, 3 March 2014

Tumari kashish ek rubayi si hai
Tumari muskaan shehnayi si hai
Samayi hai zindagi mein tumari ek amanat
Lagta hai jese wo tumari parchayi si hai........


Na jane kyun aaj kal khoye khoye se rehte hai
Humari zindagi mien ek sansani aayi hai
Aksar ek awaz sunta hun mien khabon mein
Jese tumari awaz kano mein gungunayi hai........

Sunday, 2 March 2014

Isharon se hi tumne hume lubha diya
Lehrakar zulfe hume madhosh bana dya
Aaj tak gumnam rehti thi sehar humari
Tumne humari sehar ko bhi shuakin bana dya........
Jhadta hai patta paid se jis tarah
Ujad dya humari zindagi se hume us tarah
Ab to rehem karo  maang raha hun panah tumse
Shetan mangta hai panah farishto se jis tarah......
Tasveer tumari dil mein basi hai
Kashish tumari aankhon mien thami hai
Na jao chodkar hume tum kahin
Tumare naam se hi ye dhadkane chali hai......

Tuesday, 25 February 2014

Unhe hume tadpane ka bahana mil gaya
Hume humari maut ka thikana mil gaya.......
Unke pyar ki ummed thi hume jo na mila
Unhe to sare jahan ka ek parwana mil gaya......
Khamosh rehne lagi humari zaba har dum
Humare dil ko khamoshi ka bahana mil gaya.....
Aankhon se humare ashko ki qatar bahne lagi
Unhe khushi ka ek or fasana mil gaya......