Saturday 8 March 2014

Aaghosh-e-sitam mein chupa le aakar koi
Tanha hun tadapne se bacha le aakar koi
Sukhi hai bahut der se palko ki ye zaba
Bas aaj to jee bhar ke rula de aakar koi.......

Toot ke bikhar chuka hun aayene ki tarah
Gumnam ho chuka hun begano ki tarah
Mita de tamam dard ko sehla kar mujhe koi
Mere toote hue dil ko phir se jod de aakar koi......

Khushk rehte hai mere honth har dum
Chah kar bhi mein khush nahi keh paata
Laade nami dobara se mere khushk honthon par
Bas ab to meri band zaba ko khol de aakar koi..........

Ummed ki apne pan mene begano se
Apne dard ko mehsus kiya mene paymano se
Pee chuka hun lakho paymane beth kar maykhano mein
Bas aaj to maykhane mein ruka le aakar koi..........

Nadan parinda ban chuka hun bhatakte hue
Bas aaj to sahi rah pe lade aakar koi........

No comments:

Post a Comment